Synopsis/Details
Yug, ek gareeb kisan ka beta, jiska bachpan atyachaar, berozgari aur bhookh ke andhere mein guzarta hai. Jab uske pita kisaan aandolan ke dauraan mare jaate hain, tab Yug ki aankhen khul jaati hain aur woh ek nayi soch, nayi aawaz ban jaata hai.
Yug college mein jaake youth leader banta hai, jahan use corruption, casteism aur system ki asli surat dikhai deti hai. Har mod par uska saamna hota hai system ke rakhwale netaon se, par Yug har baar unka jawaab deta hai apne vicharon aur janata ke bharose se.
Ek aisi kahani jo rajneeti, samaj aur deshbhakti ko ek naye nazariye se dekhti hai. Yug ka safar ek aam insaan se lekar ek jan-nayak tak ka hai – jahan janta usse sirf vote nahi, vishwas bhi deti hai.